Assalam o alaikum ,
Matam k lughwi maini sog mananey , afsos ka izhar karney aur gham ka izhar krney k hain Khaliq e kainat ney Insano ko apni bey shumar naimaton sey nawaza hai jin mein un k liye sub si bari naimat Anbiya aur aima huda a.s ko qarar diya in k baad maan , baap aur biwi bachchay hain khuda ki naimaton mein sey ye who naimatain hain jin k uth janey sey insan apney gham ka izhar apney rasam o riwaj k mutabiq shuru sey karta chala aya hai gham aur afsos k iss izhar ko matam bhi kaha jata hai Naimat k milney per khushi aur iss k uth janey per gham ka izhar karna aik fitri amal hai lekin iss k bawajood shariat ney kisi naimat k hath sey chalay janey per gham k izhar karney ki kuchh hadood muqarar ki hain jin per amal karnay hi sey 1 insan un logon per shamill ho jata hai jo hidayat yafta hotay hain aur jin per Surah Baqra ki ayat 155 to 157 k mutabiq Khuda aur uss k malaika darood bhaijtay hain Matam ka ye silsila bohot purana hai qabl az islam musibat zada log apney gham ka izhar apney dastoor k mutabiq kartay thy uss waqt bhi ghamgeen honey walay 2 tarah k log thy ( 1 ) Hidayat yafta jo musibat mein mubtila ho janey per sabar ka daman hath sey nahi chhortay thy . ( 2 ) Ghair hidayat yafta jo Anbiya aur aima huda a.s ki taleema’t per amal karney k bajaye apney dastoor k mutabiq apney gham ka izhar kar k matam kiya kartay thy aur apney iss tarz k matam ko guzray huway nabi sey bhi mansoob kar diya kartay thy jaisa k agay ref k sath darj kiya jai ga .
Zamana e jahiliyat mein Matam sey mutalliq ahkama’t :-
1 , Tum murdon ( mar janey walon ) k sabab sey apney jisim ko zakhmi na karna aur na apney ooper kuchh gudwana .
Pakeezgi aur adal o insaf k qawaneen – Ahbar bab 19 ayat 28 The Holy Bible .
2 , Tum murdon k sabab sey apney aap ko zakhmi na karna aur na apney abru k ball mundwana .
Istasna – bab 14 Matam mein aik rasam ki mumaniyat .
3 , Nabi ki biwi ki wafat :- Phhir Khuda wand ka kalam mujh per nazil huwa k A Adam zad daikh mein teri manzoor e Nazar ko 1 hi zarb mein tujh sey Juda kar karu ga lekin too na matam karna na rona aur na ansu bahana chupkay chupkay ahain bharna murda per noha na karna sar per pagri bandhna aur paon ( feet ) mein jooti pehenna aur apney honton ko na dhanpna aur logon ki roti na khana .
Chapter Hizqeel bab 24 The Holy Bible .
Zamana jhiliyat mein bhi apney gham ka izhar karney ki kuchh sharait muqarar thy kuchh pabandiya thi jin per kuchh log amal kiya kartay thy aur ziyada tar log un pabandiyon ki parwah kiye baghair matam kiya aur karwaya kartay thy jaisa k darj zeel hai :-
1 , Aur Bani Israill Moosa a.s k liye moa’b k maidano mein 30 din tak rotay rahay phhir Moosa a.s k liye matam aur roney peetney k din khatam huway .
2 , Aur Dawood ne Yoaab sey aur un logon sey jo uss k sath thy kaha k apney kapray phharo aur tat pehno aur Anair k agay agay matam karo aur Badshah aap janazay k pichhay pichhay chala aur unhon ney Abnair ko Jabroon mein dafan kiya aur Badshah Abnair ki qabar per chilla chilla kar roya aur sub log bhi roye aur Badshah ney Abnair per marsiya kaha .
Samyol 2 Abnair ki tadfeen Bab 3 ayat 32 – 33 .
2 , Chhuriyon aur Nishtaron sey matam ki rasam :- Aur dopeher ko aisa huwa k Ailiya ney un ko chira kar kaha k buland awaz sey pukaro kiyon k woh deota hai who kisi soch mein ho ga ya woh khalwat mein hai ya kahin safar mein ho ga shayad woh sota hai so zaroor hai k woh jagaya jai tab woh buland awaz sey pukarney lagay aur apney dastoor k mutabiq apney aap ko chhuriyon aur nishtaron sey ghayal kiya yahan tak k lahu lohan ho gaye .
Salateen 1 Bab 18 ayat 27- 28 the Holy Bible .
3 , Aag per chalaney ki rasam :- Yahuda ka Badshah Akhiz , jab who saltanat karney laga tou 20 baras ka tha aur uss ney 16 baras Yoroshalam mein badhshahi ki aur uss ney woh kaam na kiya jo khuda wand uss k khuda ki nigah mein bhala tha jaisa k uss k baap Dawood ney kiya tha bal k woh Israill k badshahon ki rah per chala aur uss ney un qoumon k nafrati dastoor k mutabiq jin ko khuda wand ney bani Israill k samney kharij kar diya tha apney baitay ko bhi aag per chalwaya .
Salateen 2 Bab 16 ayat 1- 4
4 , Rab ul afwaj yu farmata hai k , socho aur matam karney wali aurton ko bulao k aain aur mahir aurton ko bulwa bhaijo k woh bhi aain aur jaldi karain hamaray liye noha uthain ta k hmari ankhon sey ansu jari hon aur hamari palkon sey sailab e ashk beh niklay A aurto Khuda wand ka kalam suno ! aur tumharay kaan uss k mooh ki baat qabool karain aur tum apni baitiyon ko noha gari aur apni parosano ko marsiya khuwani sikhao .
Yarmiyah Bab 9 ayat 7 , 18 aur 20 .
Zamana e Jahiliyat k iss tarz ka matam Nabi e Kareem s.a.w.w k dour tak kiya jata tha jang mein kuffar e Quraish ki aurtain maidan e jang mein apni foj k pichhay reh kar un ki bahaduri ki shan mein qaseeday parha karti thi aur marhoomeen per noha kar k apni foj ko dushman k khilaf uksaya karti thi jab k Rasool e khuda s.a.w.w. ney Islam k dairay mein dakhill honey walon sey sakhti sey aisay matam karney ka mana farmaya tha magar guzashta logon ki tarah kuchh logon ney apney Nabi e Kareem s.a.w.w k farman per amal kiya aur ziyada tar logon ney un k hukum ki mukhalifat ki jaisa k darj zeel hai :-
Matam sey mutalliq Rasool e Khuda S.a.w.w. k ahkama’t :-
1 , Murdon per aurton ka jama ho kar wawaila karna jahiliyat ka amal hai .
2 , Rasool e Khuda s.a.w.w ney aurton sey baiyat laitay waqt un sey ye baiyat li k maiyat per ben nahi karain gi aurton ney kaha A Rasool e Khuda s.a.w.w dour e jahiliyat mein kuchh aurton ney maiyat per ben karney mein hamari madad ki thi kiya hum un ki madad kar saktay hain ? Rasool e khuda sa..w.w ney farmaya Islam mein ye amal shaista nahi hai .
Page 401 Book Aqal By Mohammadi Ray Shehri .
3 , Bey shak Rasool e khuda s.a.w.w. ney Fatima s.a sey farmaya :- Jab mein intiqal kar jauon tou tum meray gham mein apney chehray per kharash na dalna aur na balon ko kholna aur na hi wel keh kar nida daina aur na mujh per roney wali ( aurton ) ko qaim karna .
Mani Ul Akhbar jild 2 page 439 By Shaikh Sadooq .
4 , Aap sa.w..w ney musibat k waqt cheekhney chillaney ko manah farmaya aur marney walay k liye noha o ben karney aur issay kaan laga kar sunney sey manah farmaya .
Page 2 jild 4 Man La Ya Hazral Faqih By Shaikh Sadooq .
5 , 2 awazain aisi hain jinhain Khuda wand e Tala sakht na pasand farmata hai Musibat k waqt cheekh o pukar karna aur Naimat k waqt Gana bajana .
Page 71 jild 2 Meezan ul Hikmat .
Hazrat Ali a.s ney jang e Sifeen k maqtoolon per matam karney waliyon ki awazain sun kar farmaya :-
Mein sun raha hu goya tum per tumhari aurtain ghalib a chuki hain ? tum inhain iss dharney sey kiyon nahi roktay ?
Page 71 jild Meezan Ul Hikmat .
, Imam Mohammad Baqar a.s ney Musibat k waqt sabar k silsilay mein farmaya :- Sakht tareen bey sabri wawaila o cheekh o pukar karney mooh per tamachay marney , seena kootney aur balon ko nochney ko kehtay hain jiss ney ben karney waliyon ko muqarar kiya uss ney sabar ka daman chhor diya aur doosray tareeqay per chal nikla .
Page 70 jild 2 Meezan ul Hikmat by Mohammadi Ray shehri
Nabi aur Imam o a.s k itney sakhti sey manah karney k bawajood bhi logon ney apney aziz ki judai per khud bhi zamana e jahiliyat ki tarz ka matam kiya aur logon sey bhi karwaya iss silsilay mein sub sey pehlay aurton ko Hazrat Aisha ney apney shohor aur Rasool e khuda s.a.w.w ki wafat per roney k liye bulaya jiss per Umer ney un aurton ko un k hujray sey muntashar kiya uss k baad ba mutabiq Tareekh Ib Kaseer page 448 jild 7 , hazrat Usman ki shahadat per Mavia Bin Abu Sufiyan ney logon k darmiyan un ki khoon alood kameez aur un ki Zoja Naila ki kati hui ungliya rakh kar logon ko hazrat Ali a.s k khilaf uksaya aur un ki mazloomiyat per roshni dali jiss per log apney mazloom imam per zar o qatar rotay aur un ki shahadat ka badla laina ka ahed laitay rahay . Mavia k hazrat usman ki mazloomiyat per roshni dal kar logon ko rulana aik siyasi chal thi jiss per amal kar k woh sham mein apni hakoomat mustehkam karna chah raha tha ab isi tarz ka matam aaj hamaray dour mein kuchh aisay log kar rahay hain jo dawa tou kartay hain Mohammad O All e Mohammad a.s ki pairwi ka magar un k iss andaz sey sog manana aik bohot bara sawaliya nishan hai khud un per .

No comments:
Post a Comment